Pavitra Portal Kya Hai | Pavitra Portal Online Registration Kaise Kare

Pavitra Portal Online Registration Kaise Kare - Namskar Dosto Swagat hai aapka humare blog me. Iss post me hum aapko batane waale hai ki Pavitra Portal Kya Hai ? Pavitra Portal Online Registration kaise kare. kaafi saare logon ko iska pta nahi nahi hai ki yeh kya hai. To aaj iss article me hum aapko essi ke baare me batane ja rahe hai taaki iske madhyam se aapko iske baare me gyan prapat ho sake.

Pavitra Portal Kya Hai | Pavitra Portal Online Registration Kaise Kare
Pavitra Portal Kya Hai | Pavitra Portal Online Registration Kaise Kare

Maharashtra sarkar ne Shikshak (Teachers) ki barti ke liye iss portal ko launch kiya hai. yadi aap ek aadyapak bnana chahte hai to aapko Pavitra Portal Login ya Pavitra Portal Online Registration karna hoga. Tabhi aap teacher bnane ke liye aaply kar sakte hai. Akhir kya hota hai pavitra portal chaliye hum aapko btate hai.

Pavitra Portal Kya Hai ?

Maharashtra Sarkar dwara teachers (Shikshak) ki bharti ke liye iss portal ko launch kiya gya hai. Jiska naam hai Pavitra Portal. Jo log Teacher bnane ki ichhaa rakhte hai unka Pavitra portal Registration Jaruri hai. REgistration hone ke baad aap teacher ke liye sammilit ho sakte hai. iska Registration bhi online rakha gya hai. App online registration karke bhi teachers bharti me sammilit ho sakte hai.

Pavitra Portal Online Registration Kaise Kare

Agar aapko ye nahi pta ki isme Registration kaise karna hai to aapke liye humara post kaafi helpful hoga. hum isme aapko jankari dene ki puri koshish karenge.

Step 1 :- Go To Official Website

Sabse pehle aapko isme register karne ke liye iski official website per jaana hoga. Aap diye gaye link se bhi iski website per ja sakte hai.

Step 2 :-  Click On Pavitra Portal

Jaise hi aap iski website per jaaoge to aapko bilcul center me application ka section hoga. Usme aapko Pavitra ka option milega usper click kare.

Step 3 :- Click On Applicant

Pavitra ke option per click karte hi uske niche ek Sub-Menu khul jayega. Usme aapko Sabse pehle Applicant ka option milega usper click kar de. iske baad nya interface option ho jayega. isme aapko Registration per click karna hai.

Pavitra portal online registration

Step 4 :- Click On Select Role

Aab aapko Select Role button per click karna hai usme aapko phir se aaplicant ke option per click karna hai.

Step 5 :- Fill Registraton Form

Dosto aab aapko Ek Registration form fill karna hai jisme aapko ek user id aur password create karna hai. Appko Password create karne ke liye special characters ka use karna aaniwarya hai jaise ki @ # $ etc....

Step 6 :- Enter OTP Code and Go to Login Page

Iske baad aapke mobile number per OTP aayega. aapko vo OTP sahi jagah per daalkar aur submit kar dena hai.Aab aap pichle page per chale jaiye aur login page se portal me login kar ligiye.

pavitra portal login

Step 7 :- Enter Personal Details

Aapke pass ek naya page khul jayega isme aapko Applicant Detail ke ander Personal Details per click karna hai aur puchi gayi jankari fill karni hai.

Step 8 :- Click On Address For Correspondence

Dosto aab aapko address for correspondence option per click karna hai aur vahan puchi gayi jankari fill karni hai.

Step 9 :- Fill TET Exam Details

Dosto yahan aapko TET Exam details fill karni hai. Yahan aapko 2 Option milenge :- State TET aur Center TET. Aapne jis exam ko bhi clear kiya hai aapne usko choose karna hai aur usme puchi gayi details fill karni hai.

Step 10 :- Fill Qualification Details

Aab aapko Qualification Details per click karna hai. Isme bhi aapko 2 opton mlenge :- Academic Qualification aur Proffessional Qualification. Appko dono option per baari-baari jaana hai aur inme puchi gayi details ko fill karna hai.

Step 11 :-  Click On Self Certification

At Last aapko Self Certification per Click karna hai aur naye page per ek statement open hi jayegi. aapko uss statement ko Print Karwa Lena hai.

   Iss tarah se aap Pavitra Portal Online Registration per paayenge. Mujhe assha hai ki aapko pura procedure samaj me aa gaya hoga.

Conclusion | Pavitra Portal

Dosto iss post me mene aapko puri jaankari dene ki koshish ki hai ki Pavitra portal kya hai aur hum pavitra Portal online registration kaise kar sakte hai. Mujhe puri aasha hai ki aapko aab koi confusion nahi raha hoga. Agar abhi bhi koi confusion hai to aap hume comment ke madhyam se bta sakte hai.

Baaki Post Accha lga ho to isse aapne dosto ke sath jarur share kare.

Dhanyawad !!!
Previous article
Next article

Leave Comments

Post a Comment

Ads Atas Artikel

Ads Tengah Artikel 1

Ads Tengah Artikel 2

Ads Bawah Artikel