URN Number Kya Hai ? URN Number Kaise Pata Kare - Janiye Hindi Me !

URN Number Kya Hai - Namaskar Dosto Swagat hai aapka humare blog hindimebest per. Dosto aadhar card aaj ke zamane me kitna important hai ye to aap sab bahut hi acche tarike se jante hai. Lekin rukiye kya aapse apna aadhar card bnwate samay usme mistake ho gayi hai ? Jaise ki aapne apni Date Of Birth ya apna name glt likhwa diya ho to me aapko bta dena chahta hu ki aapko isme pareshan hone ki koi jarurat nahi hai. Aap Online Update Request Number (URN) ke dwara apna aadhar card update karwa sakte hai.

URN Number Kya Hai ? URN Number Kaise Pata Kare - Janiye Hindi Me !
URN Number Kya Hai ? URN Number Kaise Pata Kare - Janiye Hindi Me !

Dosto kya aapne bhi apna Aadhar Card Online Update karwaya hai ya phir aap apne aadhar card me koi correction karna chahte hai iss post ko last tak padhte rahiye. To Chaliye Shuru Karte hai......

Urn Number Kya Hai (Urn Number Meaning)

Aadhar Card Update Request Number

URN ki full form hoti hai "Update Request Number". Dosto jab aapke aadhar card me koi mistake ho jaati hai jaise ki :- Name me mistake, Address ya Date Of Birth me koi mitake ho jaati hai to usme aap jo bhi correction karke update karte hai to aapko update request number diya jaata hai. Update Request Number ki help se aap apne aadhar card me kiye gaye correction ka status check kar sakte hai. Aur isse hi URN Number kaha jaata hai.

Iske Alawa ek Aadhar SRN Number bhi hota hai vo bhi ek unique number hota hai. Dosto jab koi bhi user Aadhar Self Service Update Portal ke madhyam se apne aadhar card ki details koi update karta hai to use ek 14 digits ka unique number diya jaata hai. Jo Aadhar card ke status ko track karta hai.

Dosto ab aapne URN hindi Meaning ko jaan liya hoga jo ki aapko Urn status check karne ke liye bahut hi important hai.

Dosto agar aapne bhi Aadhar card update ya usme koi correction karwai hai to aapko iski knowledge honi chahia ki urn kaise pta kare. To Chaliye iske baare me bhi jaan lete hai....

URN Number Kaise Pata Kare (How To Know Urn Number) ?

Dosto Aadhar card update request number status check karne ke liye sabse pehle aapko ye pata hona chahia ki urn no kaise prapat kare.

Dosto jaisa ki mene aapko upper bataya hai ki Aadhar urn number 14 digit ka hota hai jo aapko aadhar card update karte samay diya jaata hai. Jiske madhyam se aap apne aadhar me hue correction ka status check kar sakte hai ki aakhir aadhar update hua hai ya nahi. Dosto Aadhar Update Request Number aapko aapke aadhar registered mobile number per SMS ke dwara bhej diya jaata hai.

Isliye jab bhi aap apne aadhar card me koi correction karwata hai to aapke mobile per urn number send kiya jaata hai.

Aadhar Card Update Status Kaise Check Kare (How To Check Aadhar Card Update Status) ?

Aadhar card update request number karne ke liye niche diye gye steps ko follow kare......

Step 1:- Go To Uidai Official Website 

uidai official website

Aadhar urn number status ko online check karne ke liye aapko sabse pehle uidai ki official website per jaana hoga. jo hai uidai.gov.in

Step 2 :- Click on My Aadhar And Then Update Your Aadhar Button

Aaapko upper menu bar me my aadhar ka option milega usme click karte hi ek dropdown menu khul jayega. Usme aapko "Update Your Aadhar" ka button milega. Usper click kare.

Step 3 :- Now Enter Enrollment ID (EID) and then Time Of Enrollment

Aadhar Update Status Check


Aab aapko yahan apne aadhar ka enrollment ID aur enrollment time daalna hai.

Step 4 :- Solve Captcha

Enrollment id daalne ke baad aab aapko niche ek captcha box dikhega usko aapne solve karna hai. Catcha ye verify karta hai ki aap human hai ya nahi.

Step 5 :- Your Request Completed Successfully

Aab aapke samne ek nyi screen open ho jayegi jisme aap urn status ko online dekhkr pta lga sakte hai ki aapki Update Request Successfully Complete ho gyi hai ya nahi.

Dosto Agar aapki update request successfully complete ho jaati hai to aapko status check karne per Your request successfully completed dikhai dega.

Updated Aadhar Card Downloaded

Update Request Number ka process pura ho jaane ke baad aap sudhar kiye hue aadhar card ko online download bhi kr sakte hai.

Dosto ab mene aapko Update Request Number Aadhar status check karne ka tarika bhi bata diya hai. Jisse aap aadhar update status ka pata kar sakte hai.

FAQs Updated Request Number (URN)

Q1. SRN Number Kya Hota Hai ?

SRN 28 digits ka ek Service Request Number Hota hai jo ki aapko jab milta hai tab aap apne aadhar ko "Order Aadhar Reprint" karwate hai.URn number aapko successfull payment aur unsuccessfull payment dono per mil jaata hai.

Q2. AWP Number Kya Hai ?

Airway Bill Number (AWP) ek tracking number hota hai jo ki DOP ke dwara generate kiya jaata hai.

Conclusion

Dosto aapne apne aadhar card me jo koi bhi correction kiye ho aap iss post ki help se unka status check kar sakte hai. Aur badi hi aasani se pta kar sakte hai ki aapka aadhar card update ho gya hai ya nahi.

Aaj humne iss post ki madat se jaana ki :-

  1. URN Number Kya Hai ? URN Number Kaise Pata Kare
  2. Aadhar card update status kaise check kar sakte hai ?
  3. Sath hi humne aapko URN Number FAQs ke baare me bhi bataya hai.
Agar abhi bhi aapke man me koi doubt hai to aap hume comment ke madhyam se bta sakte hai. Aur agar aapko ye post accha lga ho to isse apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Dhanyawad !!!!
Previous article
Next article

Leave Comments

Post a Comment

Ads Atas Artikel

Ads Tengah Artikel 1

Ads Tengah Artikel 2

Ads Bawah Artikel