Technology
5 Best AC in India (2023) That You Should Buy - AC Buying Guider
5 Best AC in India - Namaskar dosto jaisa ki aap sab jante hai ki summers shuru hone wali hai. Aur bharat ek esa desh hai jisme jahan per taapmaan ka asar logon ke denik jivan me padta hai. Mera naam Manish Rajput hai. Aur hum aaj bat karne wale hai 5 best AC in india (2023) ke baare me.
Vaise to market me bahut acche-achhe AC available hai lekin aapko unme se best choose karne me bahut muskil hoti hai.
Is post me unke features, price advantages and disadvanges ki baat karne wala hu. Jisse aapke liye best AC choose karne me aasani hogi. To chaliye aapka jada samay na lete hue shuru karte hai.
Dosto Ye "Auto Restart" feature ke sath aata hai Jisse light cut hone aur aane ke baad jo setting apne iske temprature me ki hogi vo bilcul vessi hi rahegi... Phir se reset nahi hogi.
Dosto iski copper coils 100% pure hai jisse bahut hi jaldi heat transfer hoti hai aur 100% pure hone ke karan isme jung bhi nahi lagega. Jisse ye AC long performance dega.
Vaise to market me bahut acche-achhe AC available hai lekin aapko unme se best choose karne me bahut muskil hoti hai.
5 Best AC In India |
5 Best AC In India (2023)
Ab hum sabse main point me aate hai. Aab me aapko vo 5 best AC In India ke bare to batane ja raha hu.... Jinhe aap bahut hi aasani se buy kar sakte hai vo bhi bina kisi confusion ke.....Sanyo 1.5 Ton 5 Star Dual Inverter Wide Split AC
Ye humari best ac in india list me 1 no. Per aata hai. Sanyo India me bahut hi jada popular bn chuka hai jo ki budget friendly aur premium friendly dono me aata hai. Dosto ye bahut hi jada primium quality ka AC hai jo ki bahut hi jldi cooling provide karta hai vo bhi long time ke liye. Ye AC 1.5 Ton ka hai isliye bade room ko bhi ye aasani se cool kar sakta hai. To chaliye iske features ke baare me baat karte hai.Features
Isske compressor me two independent rotors lagaye gaye hai jo bahut hi fast aur km energy me bhi bahut acchi cooling karta hai. jisse ye aapke electricity bill kam karne me bhi helpfull hai.Dosto Ye "Auto Restart" feature ke sath aata hai Jisse light cut hone aur aane ke baad jo setting apne iske temprature me ki hogi vo bilcul vessi hi rahegi... Phir se reset nahi hogi.
Dosto iski copper coils 100% pure hai jisse bahut hi jaldi heat transfer hoti hai aur 100% pure hone ke karan isme jung bhi nahi lagega. Jisse ye AC long performance dega.
Pros :
- Iska Copper Condenser bahut hi powerfull aur long lasting hai.
- Iss AC Dustproof, Air Purifier, Dehumidifire ke sath aata hai jinko aap iske special features bhi keh sakte ho.
- Ye AC Sleep timer ke sath aata hai. Jisme aap iska Off/On Hone ka timer set kar sakte ho.
- Ye AC environment friendly R32 Refrigerant ke sath aata hai jo condensor ko accidently fire se bachata hai.
- Ye AC Bharat ke sabse acche 5 star rate (2019) per aata hai.
Cons :
- Sanyo ka ye model thodi noise create karta hai jab iska temprature down kiya jata hai.
- Installation ke paise thode jada lag sakte hai.
To dosto agar aap esa AC search kar rahe hai jo look me bahut accha ho to ye AC aapke liye bilcul best hai. Aur budget friendly bhi hai. Ye apko amazon me ₹32990 me mil gayega.
Samsung 1.5 Ton 3 Star Inverter Split AC
Ye Humari List me 2nd no. Per aata hai. Samsung duniya ki ek jaani-maani Company hai jiska india ke development me bahut bda hath hai....Aur Ye bahut hi purani Aur trusted company hai.. Jo bahut hi premium quality ke products cheap price me launch karti hai. Ye AC 1.5 Ton Capacity ka hai. To chaliye iske Features ke baare me jaan lete hai
Features
Dosto Ye Automatic Temperature Control ke sath aata hai jisse room ke temperature ke hisab se ye automatic change ho jata hai.... Isme aapko bar-bar setting karne ke jarurat nahi hai.
Ye AC Fastest Cooling mode ke sath aata hai. jab ye ye feature on karoge to 30 minute tak compresor full speed ke sath kaam karega...aapke room ko bahut jaldi cool karega.
Ye Anti-Corrosive Coating ke sath aata hai....jiske karn ye extreme heat bhi absorb kar leta hai... Aur ye Voltage stabilizer ke bina bhi overload nahi hota.
Ye AC Fastest Cooling mode ke sath aata hai. jab ye ye feature on karoge to 30 minute tak compresor full speed ke sath kaam karega...aapke room ko bahut jaldi cool karega.
Ye Anti-Corrosive Coating ke sath aata hai....jiske karn ye extreme heat bhi absorb kar leta hai... Aur ye Voltage stabilizer ke bina bhi overload nahi hota.
Pros :
- Ye AC single mode ke sath aata hai jisse aap bahut hi achi cooling ka experiance kar skte ho.
- isme DURAFIN lagaya gya hai jo extreme heat ko bhi aasani se exchange kar deta hai.
- Is AC me aapko 10yr ki warranty milegi.
- Ye Digital Inverter bahut hi kam electricity absorb karta hai.
Cons :
- Itni Acchi quality hone ki vajah se ye thoda aapko mehga pad sakta hai.
Agar dosto aap esa AC Search kar rahe ho jo long time tak chale Aur jldi defect na ho to aapke liye Ye AC bilcul badiya Aur premium friendly hai. Iska Price aapko Amazon per ₹38779 tak ka milega.
Voltas 1.4 Ton 3 Star Wi-Fi Inverter Split AC With Amazon Alexa
Ye Humari Best ac in india ke 3 no. Per aata hai. Dosto jaisa jante hai ki Voltas sabse famous, trusted Company hai... Aur pichle kuch years me isne bahut hi acche-acche AC model launch kiye hai Aur vo bhi budget aur premium friendly. Ye AC bhi unme se ek hai. Ye AC 1.4 Ton capacity ke sath aata hai.. To chaliye iske features ke baare me jaan lete hai.
Features
- Aap iss AC ko mobile phone app ke jariye dusre room se bhi operate kar sakte hai kyonki ye el Wi-Fi AC hai.
- Iss AC me smart Timer lgaya gya hai jismw aap ise apne schedule ke hisab se timer set kar sakte ho... Jisse aapki electricity save hogi.
- Ye Amazon Alexa ke sath aata hai jisme aap voice command dekar isse control kar sakte ho... Alexa hindi bhi samjhta hai.
- Aap smart Voltas AC Android App Ke jariye iski fan speed ko bhi control kar sakte ho.
Pros :
- Ye AC 5 year Comprehensive warranty ke sath aata hai.
- Iski copper condensor coil bahut hi powerful hai jisko bahut hi kam maintenance ki jarurat padti hai.
- Ye Smart AC Amazon Alexa Aur Wi-Fi ke sath aata hai. Jo aapke user-experiance ko aur bhi behter bna deta hai.
- Iski energy Rating 3 Star hai jisse ye bahut hi kam electricity consume karta hai.
Cons :
- Alexa Kabhi-kabhi properly kaam nahi karta hai.
Agar Dosto aap esa AC search kar rahe ho jo ki smart ho Aur aapki zindagi ko aur aasan bnaye.. Aur budget friendly ho to aapke liye ye bicul badiya hai. Iska price Amazon me ₹34620 hai.
TOSHIBA 1.5 Ton 4 Star Inverter Split AC
Ye humari list me 4 no. Per aata hai. Dosto TOSHIBA vaise to Japanese company hai lekin iski subsidiary India me bhi hai... Jo lagatar apne quality products ke karn famous hoti ja rahi hai. Ye AC 1.5 Ton capacity ka hai. To chaliye iske features ke baare me baat kar lete hai.
Features
Dosto sabse pehla feature jo peoole AC me jada dekhte hai vo hai low sound.... Ji haan ye AC kam temprature me bhi bahut kam noise karta hai.
Isske sath aapko environment friendly Compressor milta hai jo aapke electricity me 20% tak ki bachat karta hai.
Isme Magic Coil ka use kiya gaya hai jo AC ki life ko badata hai kyonki ye dustproof, oilproof aur moistureproof hai.
Pros :
- Isme aapko 5 Years ki warranty milegi.
- Isme coppper condensor ka use kiya gya hai jisse aapko faster cooling milegi.
- Sabse nadi baat ye AC R410A gas ka use karti hai jisse ozone layer deplete nahi hoti.
- Ye AC 2019-2023 ke sabse best ACs me se ek hai.
- Isme aapko bigger fan coil milegi jisse ek wider room ko bhi ye badi aasani se cool kar sakta hai.
Cons :
- Box Ke ander aapko 10 meter Free Copper pipe nahi milegi.
- Quality acchi hone le vajah se iska rate thoda jada hai.
Dosto agar aapko ek esa AC chahiye jo long time tak chale aur better cooling de to ye apke liye bilcul best hai. Agar price ki baat kare to amazon per iska price ₹39000 hai aur installation ke sath ₹41000 ka pd jayega.
Carrier 1.5 Ton 3 Star Inverter Split AC
Ye Humari list ke last no. Per aata hai. Dosto jaisa ki aap sab jante hai ki Carrier Company 1986 se chal rahi hai Aur time ke sath ab tak kafi trusted company bn chuki hai jo bahut budget friendly aur premium quality ke products laati rehti hai. Ye AC 1.5 Ton ka hai. To chaliye iske features ke baare me jaan lete hai.
Features
Ye Conditioner PM 2.5 Filter ke sath aata hai jo Air ko purifier karta hai. So say by to Dust particle, pollution.. Ye Air Conditioner apki health ka puri trh se dhyan rakhega.
Ye Air Conditioner Sleep mode ke sath aata hai Jisse ye room ke temprature ke hisab se automatic temprature change kar deta hai.
Isske remote me ek sensor fit hai jo air ke temprature ko sense karke temprature ke according cooling deta hai.
Pros :
- Sabse pehla jo log humesa dekhte hai ki Ye noise karega ki nahi...To dosto me aapko bta du ki ye AC bilcul noise nahi karta hai.
- Ye Air Conditioner 3 Star ke sath aata hai jo bahut hi kam electricity consume karta hai.
- Iske Compressor per aapko 5 Years ki warranty milegi.
Cons :
- Istallation ke paise thode jada lag Sakte hai.
- Dikhne me itna khaas nahi hai.
Agar aap ese AC ko search kar rahe hai jo best working kare aur jaldi kahrab na ho to aap issko buy kar sakte ho. Amazon me iska price ₹32999 hai.
Conclusion |5 Best AC In India|
Dosto mene iss post me aapko 5 Best ac in india ke baare me bataya hai. Iss post ko bnane me mene bahut mehnat ki hai...
mujhe aasha hai aapki confusion iss post ko delhne ke baad khatam ho gayi hogi.Apko abhi bji koi question hai to aap comment box ke jariye hum tak pahuncha sakte hai.
Previous article
Next article
Leave Comments
Post a Comment