Samanya Gyan
Technology
Hybrid Sim Slot Kya Hai ? Hybrid Sim Slot Extender Ka Use Kaise kare ?
Namaskar dosto, swagat hai aapka mere blog hindi me best me. Pehle ek zamana jisme keypad phone aate the, phir modern zamana aaya jisme smartphone ne dastak di jisne humari zindagi ko bahut aasan bna diya hai.
Me Manish Rajput Aaj aapko bataunga ki hybrid sim slot kya hai aur iske extender ka use hum kaise kar sakte hai. Agar aapko hybrid sim slot kya hai iske baare me janna hai to aap bilcul sahi jagah per aaye hai. Iss post me aapko dedicated sim slot ke baare me bhi bataunga. To chaliye Shuru karte hai....
Hybrid Sim Slot Kya Hai ? Hybrid Sim Slot Extender Ka Use Kaise kare ? |
Me Manish Rajput Aaj aapko bataunga ki hybrid sim slot kya hai aur iske extender ka use hum kaise kar sakte hai. Agar aapko hybrid sim slot kya hai iske baare me janna hai to aap bilcul sahi jagah per aaye hai. Iss post me aapko dedicated sim slot ke baare me bhi bataunga. To chaliye Shuru karte hai....
Table of Content
Hybrid Sim Slot Kya hai ?
Hybrid sim slot ek esa slot hai jisme aap 2 Sim ka use kar sakte ho lekin isme aap Micro SD Card use nahi kar sakte ho.... Agar aapko Micro SD Card use karna hai to aapko 1 sim remove karni padegi aur uski jagah per aap Micro SD Card ka use kar sakte ho.
Hybrid Sim Slot me aap tiino ko ek sath use nahi kar sakte ho... Aapko kisi na kisi ka sacrifice dena hoga.... Aap apni needs ke anusar iska use kar sakte ho. Ya 2 Sim use kar lijiye.... Ya phir 1 Sim aur 1 Micro SD ka use kar liye.
Hybrid Sim Slot Extender Kya Hai ?
Kuch logon ko ye problem hoti hai ki ve 2 number use karna chahte hai... 1 Number ve apne personal work ke liye use karna chahte hai... To 2 Number ve apne Profession (company work) ke liye use karna chahte hai. Aur unke liye Micro SD Card bhi bahut important hota hai. Zahir si baat hai ki office work me bahut si heavy files rakhni padti hai. Lekin hybrid sim slot ki vajah se ve esa nahi kar pate.
Ab Logon ko inhi problems ko dekhte hue bahut se brands hai jinhone Hybrid Sim Slot Extender ka invention kiya hai ya to yu bol sakte hai ki unhone market me isko available karwaya.
Agar aap 2 Sim Card Aur Micro SD Card ka ek sath use karna chahte hai to aapko Hybrid Sim Slot Extender buy karna hoga. Ye market me easily available hai Aur aap inhe online store jaise ki PayTM Mall, Amazon, Flipkart, etc... Se bhi bahut hi aasani se buy kar sakte hai.
Hybrid Sim Slot Extender Ka Use Kaise Kare ?
Dosto Agar aapne hybrid sim slot extender buy kar liya hai ya buy karne ki soch rhe ho aur aapko ye nahi pata ki iska use kaise karte hai to humare sath bne rahiye.... To chaliye hum aapko batate hai ki iska use kaise kiya jata hai.
Sabse pehle aaoko ye karna hai ki apne phone se sim ejector ki help se hybrid sim slot ko bahar nikale.
Ab slot ke ek taraf apna micro sd card insert kare... Aur uske bagal (बगल) me apni pehli sim insert kare. Ab hybrid sim slot extender lein aur uske ek taraf apni dusri sim ko insert kare.. Aur extender ke dusri side ko sim tray ki back side fit kar de.
Hybrid Sim Slot Ke Kya Fayde Hai
Dosto ab aapne jaan liya hoga ki iss extender ka use kaise karna hai.. Per aapko ye pta hai ki hybrid sim slot ke kya fayde hai... To chaliye hum aapko batate hai ki iske kya-kya fayde hai.
Is technology ki vajah se phone me physical space save hota hai... Kyonki iski large sim card nahi lagte... Aur ye phone ko aur bhi jada light-weight bna deta hai.
Hybrid sim slot ke aane se hum sim ejector pin ka use karke fastly sim tray nikal sakte hai aur daal sakte hai vo bhi bina switch off ya battery nikale.
Kyonki hybrid sim slot bilcul new technology hai isliye ye phone ka space save krne ke sath sath mobile ki speed bhi increase ho jati hai.
Dedicated Sim Slot Kya Hai ?
Dedicated Sim slot ek esa slot hai jisme aap 2 Sim Card Aur Micro SD Card ka ek sath use kar sakte ho. Ajkal har mobile comaony jadatar inki ko hi develop kar rahi hai aur jadatar phones me yahi slot aata hai. Kuch log 2 aim ko alag-alag work ke liye use karte hai jinke liye ye slot bahut hi kaam ka hai.
Dedicated Sim Slot ke kya fayde hai
Jaisa ki dosto maine uper bataya ki isme 3 slot hote hai jisme aap 2 sim card aur 1 mirco SD Card use kar sakte ho. Aajkal bahut log iska benefit le rahe hai vo ek sim ka use office work ke liye karte hai aur dusri sim ka use personal kaam ke liye karte hai.
Yadi aap do alag-alag operators ka use karte hai jaise ki Jio ya phir Airtel to aap inke alag-alag plans ka benefits utha sakte ho.
Hybrid Sim Slot Aur Dedicated Sim Slot Me Kya Difference Hai ?
Dosto hybrid sim slot aur dedicated sim slot me ek hi difference hai ki hybrid sim slot me hume 2 hi slot milta hi jisme hum 2 Sim ya phir 1 Sim Aur 1 mirco SD ka hi use kar sakte hai.
Lekin dosto dedicated sim slot me esa bilcul bhi nahi hai ye sim slot 3 slots ke sath aata hai jisme hum 2 Sim Card Aur 1 Micro SD card ek sath use kar sakte hai.
Conclusion
Dosto mene aapko iss post ki help se hybrid sim slot aur dedicated sim slot ke baare me puri jaankari di hai. Lekin aapko abhi bhi koi confusion hai to aap hume comment karke aapna question puch sakte hai.
Agar aapko ye post dil se pasand aaya ho to isse aapne dosto ke sath share krna bilcul na bhule.
Dhanyavad !!
Previous article
Next article
Leave Comments
Post a Comment