Refurbished Mobiles Kya Hote Hai | Refurbished Meaning in Hindi

'Refurbished Mobiles Kya Hote Hai' - Iss post me hum aapko batane waale hai ki Refurbished Mobile Kya hote hai , Refurbished meaning in hindi, Kya aapko ye Mobile kharidne chahiye, Inn sabhi chijo ke baare me aaj me aapko iss post me bataunga.

Aajkl ka zamana smart phones ka zamana hai. Aapko online hi bahut sari companies mil jayegi jo smartphone sell karti hai unme se bahut si companies esi bhi hai jo Refurbished Mobiles Sell karti hai.

Refurbished Mobiles Kya hote hai, Refurbished Meaning in hindi
Refurbished Mobiles Kya hote hai

Companies jaise ki Flipkart Aur amazon vaise to pehle New Mobile hi sell Karti thi Lekin pichle saal se inhone bhi Refurbished Mobile Sell karna start kar diye hai.

Lekin abhi bhi sawal ye hai ki kya hume Refurbished Mobiles kharidne Chahiye. To Chaliye Dosto hum aapko btate hai ki Refurbished Mobile Kya Hote hai.

Refurbished Mobiles Kya Hote Hai ?

Iss post me aapko bicul hi aasan bhasha me bataunga ki Refurbished Mobiles kya hote hai.  Jaise Maal lo aapne ek mobile kharida aur uski warranty 1 year ki hai lekin vo phone warranty khatam hone se pehle hi kharab ho gya.

Jab Service Center Waale me pass jate hai to vo bhi mobile ko thik nahi kar paate hai.To uss mobile ko manufacture company vapis le leti hai hai.

Aur Uss Customer ko Seller ke dwara naya mobile de diya jaata hai...  Aur Jo defective mobile hai company usse wapis le leti hai fir se nya bnati hai.

Jab Company Uss Mobile ko Fir se naya bna deti hai to bahut saare quality checks ke baad uss mobile ko Cheap Price me market me launch karti hai.

Bas Dosto isi ko kehte hai Refurbished Mobile. Mujhe Puri aasha hai aab aapko samaj me aa gya hoga ki Refurbised Mobile kya hote hai Aur Kaise bante hai.

Refurbished Meaning in Hindi

Refurbished Ka matlab hota hai naya jab kisi device me kuch technical defect hota hai to unhe company wapis le leti hai.... Aur uss product ko dobara bnati hai Aur phir baad me bahut saare quality checks ke baad usse marlet me resell kiya jata hai.

Most Trusted Websites To Buy Refurbished Mobiles

Dosto Agar aap Refurbished Mobiles kharidne ke liye trustes website search kar rahe hai to me aapko recommend karunga aap amazon ya flipkart se hi mobile purchase kare.... Ye most trusted website hai aur inka customer support dusri companies ke mukable bahut hi jada aacha hai.

Refurbished Mobile kharidte time hume kin-kin baato ka dhyan rakhna chahiye ?

Condition To Buy Refurbished Mobiles

Refurbished Mobile Kharidte Time hume kin-kin baato ks dhyan rakhna chahia jo ki aapko niche diye gaye hai :-

Warranty

Dosto Jab bhi aap Refurbished mobile kharidte hai to iss baat ka jarur dhyan rakhiyega ki seller aapko us phone me kitne time ki warranty deta hai maximum seller aapko iss phone me 6 Months ki warranty deta hai. Agar aapko isse kam mille to aap mat kharidiyega.

Model Time

Dosto aab baat aati hai model ke time ki. Agar phone 1 - 1.5 Year old ho to tabhi Refurbished mobile kharidiyega. Agar isse jada old hua to mat kharidiyega. Kyonki samay ke sath Mobile ka price vaise bhi down ho jata hai.

Factory Reset

Dosto aap humesa factory reset phone hi kharide. Vaise to Refurbishes mobile factory reset ke sath hi aate hai lekin kuch nahi aate. Agar uss Mobile me Pehle se hi data hai aur storage full hoga to ye Phone hang maar sakta hai. Isliye me aapko recommend karunga ki aap factory Reset phone hi buy kare.

Trusted Manufactured Company

Dosto aab baat aati hai trusted manufactured company ki. Aap kisi trusted company ka hi mobile buy kare jaise ki Samsung, Oppo, Realme, Redmi, etc... Kuch company local hoti hai jo sahi products nahi bechti hai aap umse product buy naa kare.

Accessories

Jab aap Refurbished mobile kharidte hai to ye jarur dekhiye ki uske box me saari accessories hai ya nahi. Agar nahi hai to aap uss mobile ko naa kharide.

Price

Dosto jab bhi aap phone buy karenge to aapko isme jyada discount nahi milega Kyonki ise dobara bilcul nya kiya jata hai. Maximum aapko isme 10% -15% ka hi Discount milega. Agar koi comaony aapko cheap price me deti hai to aachi tarah se quality check karke hi vo mobile kharide.

Return Policy

Jab bhi aap aaise mobile kharide to dhyan rakhiye ki isme return policy kitne din ki di hai hai. Kya pta aaj aapne mobile kharida aur agle hi din vo kharab ho gaye.

Maximum 15 Din ki Returm policy to honi hi chahia. 15 din me Mobile  ko acche se use kar sakte hai jisse iss Mobile ke proper function ke baare me bhi pta chal jayega.

Conclusion | Refurbished Mobiles

Dosto maine iss post me btaya hai ki Refurbished Mobile Kya hote hai, Refurbised Meaning In Hindi. Agar iss post ke madhyam se aapki sari confusion dur karne ka prayash kiya hai. 

Agar aapko abhi bhi koi confusion hai to aap hume comment karke bta sakte hai hum aapke question ka jarur answer denge.

Mujhe puri aasha hai ki aapko ye post jarur achha lga hoga. Isse aapne dosto ke sath jarur share kare.
Previous article
Next article

Leave Comments

Post a Comment

Ads Atas Artikel

Ads Tengah Artikel 1

Ads Tengah Artikel 2

Ads Bawah Artikel