LIC Merchant Kya Hai - LIC Merchant Login

Namaskar dosto swagat hai aapka humare blog me. Agar aap ek LIC Merchant hai aur aaoko iske information chahia ya aap iske baare me janna chahte hai to aap bilcul sagi jagah per aaye hai.

LIC Merchant
LIC Merchant

Me Manish Rajput Aaj Aapko Bataunga ki Lic Merchant kya hai, LIC Merchant me login kaise kare, iska password aur email kaise change kare.. Hum iss post me aaoko LIC Merchant Portal ke baare me bhi bataunga. To Chaliye Shuru Karte hai.

LIC Merchant kya hai ?

LIC Merchant ek official website hai. Ye Website Life Insurance Corporation ke Agents Aur partners ke liye bnai gayi hai.

Aapko bta de ki LIC (Life Insurance Corporation) india ki insurance company hai uske sath sath ye ek Investment Corporation bhi hai.

Lic Merchant website ek Lic Merchant Portal ki owner hai jo usse control krti hai.

LIC Merchant me Login Kaise Kare

Agar aapko kisi ki online receipt kaatni hai to aapko lic ke merchant account per login karne ki jarurat hai... To chliye hum aapko batate hai ki iss online portal me login kaise kare....

1. Sabse pehle yahan se lic ki official website per jaaye - CLICK HERE

2. Ab isme lic ki official website me register kare.

3. Aab aapko left side me ek online services ka column milega.... Usme "Merchant portal" ka option milega....usper click kare.
Lic merchant click button



4. Aab aapke pass ek nya page khul jayega. Uske right side me Aapko login ka option milega... Usper click kare.
Lic merchant login button

5. Aab login ka page open ho jayega isme aapna username and password daale. Aab aapka lic merchant account open ho gayega.

6. Done !!

LIC Merchant Password Ko Reset Kaise kare

Agar ki vajah se aap apna password bhul gaye hai ya aapko password reset karna hai to aap niche diye gaye steps ko follow karke apna lic merchant password change kar sakte ho.
  1. Sabse Pehle diye gaye link per click kare - CLICK HERE
  2. Aab yahan aapko "Change Password" ka option milega. Usper click kare.
  3. Aab kuch hi seconds me ek new page option hoga.
  4. Iss page ke pehle box per aapni User id, Dusre box per apna current password or third box per new password enter kare.
  5. Aab "Reset Password" ke button per click kare.. Aab aapke registered mobile number per confirmation massage aa jagyega.

LIC Merchant Email Ko Kaise Change Kare

  1. Sabse pehle apne lic merchant login page per jaye.
  2. Aab aapko niche ek option milega "Update Email" ka usper click kare.
  3. Ab ek new page open hoga jisme aapko 2 boxes dikhai denge.
  4. Inme aap apna registered user id/new email aur password enter kare.
  5. Aab "Update" button per click kare. aab apki email successfully update ho chuki hai.

LIC Merchant Portal Kya hai ?

Lic Merchant Portal ek esa portal hai jisse LIC Merchants aur Agents use karte hai. Iss website ko Life Insurance Corporation (LIC) ne developed kiya hai.

Bahut sare merchants iss website ko apni requirement per daily routine me use karte hai.

Aur iske customers bhi bahut hi jaldi grow ho rahe hai.

LIC Merchant Portal Se Policy Premium Kaise Deposit Kare

Mujhe aasha hai ki aao samaj hi gaye honge ki lic merchant account ko login kaise kare... Aab baat kar lete hai ki lic merchant se policy premium kaise deposit karte hai. To chaliye shuru karte hai...

1. Sabse pehle aapne lic merchant account per login kare.

2. Apne merchant account per aane ke baad apne cashier ka username aur password daale.

3. Aab aapko left side me Cashier tools bar me sabse pehla option "premium Collection" Dikhega usper click kare.

4. Aab aapke pass nya interface aayega jis per ye choose karna hoga ki aap kitni receipt kaatna chahte hai. Choose karke "Proceed" ka button per click kare.

5. Aab ek naya page open ho jayega jisper aapko apna payment method choose karna hoga.... Aap chahe cash se payment kar sakte hai aur cheque se bhi, uske baad policy number daale jiski aap receipt kaat rahe hai. Aur "Get Premium Details" per click kar de.

6. Aab aapke pass customer ki premium/Policy details aa jayegi... Aab niche diye gaye "Submit" button per Click kare.

7. Aab phir se ek new page open ho jayega isme aapko premium ki total amount show hogi tax ke sath. Payment Karne ke liye aapko niche duye gaye "Confirm Payment" Option per click karna hai.

8. Aab ek nya page open ho jayega... Usme aapko policy Holder ka Mobile Number aur email id enter karni hai. Uske Baasld "Print Receipt" Ke Button per click kare... 

9. Receipt open ho jayegi. Aab aap ise print karke isko copy customer ko de sakte hai.

Conclusion | LIC Merchant

Dosto mene iss post me aapko bataya hai ki lic merchant kya hai, isme hum login kaise kar sakte hai aur mene iss post me aapko lic merchant portal ki bhi jankari di hai. Mujhe ouri aasha hai ki aapko ab koi confusion nahi rahi hogi.

Agar aapko abhi bhi koi problem hai to apna question comment me likhar bata sakte ho...

Dhanyawad !!
Previous article
Next article

Leave Comments

Post a Comment

Ads Atas Artikel

Ads Tengah Artikel 1

Ads Tengah Artikel 2

Ads Bawah Artikel